Google Par Photo Upload Kaise Kare in Hindi (Search Me Pic...
Google Par Photo Upload Kaise Kare in Hindi (Search Me Pic Dale)
Yaha janege Google par apni image upload kaise kare, main apko 2 practical tarike batauga jisme aap apni koi bhi Photo Google image search engine me kuchi din me laa sakte hai, taki koi bhi search kare to apki uploaded image show ho, sath me iske kuch rules, competition and system ke bare me bhi janege.

Google me text ke alwa Image, vidoes me bhi result deta hai. Google image search engine me wo sab image search ki jaa sakti hai jo internet par kisi na kisi website par available hai.
To agar apko bhi apni images/photo Google search engine me laani hai to main apko 2 tarike batane jaa raha hu, jisme first bilkul easy hai jo nontechnical ke liye hai second thoda long process hai jo ki technical person ke liye.
Google Image Search Engine Kaam Kaise Karta Hai?
Chaliye pahle iski process ko samjh lete hai.
Jab Google search engine par koi bhi image search hoti hai to wo internet par kahi na kahi data se lekar ap tak pahuchai jaati hai, wo data kisi website aur blog se liya jata hai.
Example, apne internet par search kiya Shahrukh khan images, tab jo bhi images apke samne show hogi wo sab kahi na kahi kisi na kisi website par upload hi, yani wo internet par maujud hai isliye search engine kewal use internet se dhund nikal kar ap tak pahuchata hai jo ki uska basic nature hai.

To agar kisi image par click karke open karege to wo image kis website se lekar apko show ki jaa rahi hai uski detail show hogi, jaise wo image kounsi webiste se li gai hai, agar apko us image ke web page tak pahuchna hai to White color me title par click karke pahuch sakte hai.

Proved: Google image me koi bhi tab tak show nahi ho sakti jab tak use webpage ke through internet par upload na kare.
Ab sawal yah uthata hai ki internet par photo upload kaise kare? Jab apki image internet par upload hoti hai tab wah image Google image par show hone lag jati hai.
Internet Par Photo Kaise Upload Kare, Bina Khudki Site Kare
Uske liye main alag se post likhi hai jaha se internet par photo kuch hi sec me upload kar sakte hai.
Warning: Google image search engine par kya search karne par apki image show honi chahiye us name se apni image ko name de, aur jab use upload kar de to waha site me image ka title bhi wahi de jo search karane se aap Google par show karwana chahte hai.
Internet par photo upload karne ko lekar ek alag se post likhi hai jiska link niche diya gya hai.
Internet Par Photo Upload Kaise Kare (Image Online Dalne Ka Tarika)
Internet Par Photo Apni Site Ke Through Kaise Upload Kare
Google ek service provide karta hai jaha se 5 mins me hi apna blog bana kar waha par photo upload kar sakte hai.
Uske liye apko pahle blog banana hai phir post ke through apni image dal kar, us post ka title wahi dekar jo search karne se aap image laana chahte hai phir publish kar de.
Blog kaise banaye aur apna first post publish kaise kare, iske bare me niche diye new post ki link me bataya gaya hai.
5 Minutes me Apna Free Blog Kaise Banaye Step by Step With Screenshots
To ye the 2 tarike jisse Google par photo upload kar sakte hai, jisme aap khudka site bana kar bhi kar sakte hai aur jo photo sharing site hai waha se bhi kar sakte hai.
Par Yad Rahe
Agar aap wo keyword search kara kar pani image Google image search engine me laana chahte hai jisme competition bahut high hai to apki image ko Google par aane me kafi wakt lag sakta hai aur kuch condition me impossibe bhi ho sakta hai jaise agar apka name Shahrukh Khan hai aur aap chahte hai ki koi agar Shahrukh Khan search kare to apki image show ho lekin actor Shahrukh Khan ki nahi to yah kuch had tak muskil hai ya next to impossible hai. Iska reason yah hai ki log jo chahte hi Google wahi provide karta hai, aur jahir si bat hai log jise jante hai usi pic internet par chahege.
Normally apki image Google par aane me 2-3 week le skata hai, aur kai bar agar name par koi competition hai hi nai, yaani jitna lamba aur unique name apka hoga utna jaldi apki image Google par aane ke chances hoge, example Rahul kumar se better jaldi Rahul Kumar Chatriwala se bahut jaldi image Google par aegi kyonki Rahul Kumar Chatriwala bahut kam hai jisme apka chances lag jaega bina kisi competition ke.
#postDIARY #IamRahulJha #rahuljha #rahul #rahuljha
Comments
blog mein image Kaise upload Karen